daera mohabbat ka jis ki ye kahani hai
dā.era mohabbat kā jis kī ye kahānī hai
is taraf hai ik muflis duuje samt raanī hai
haa.e dil ye bechāra ḳhud kī bhī nahīñ suntā
dil kī dhaḌkanoñ pe ab us kī hukmrānī hai
dekh leñ agar us ko hosh meñ nahīñ rahte
husn kī hai devī yā hūr-e-āsmānī hai
sochtā huuñ jab us ko ḳhvāb meñ vo aa jaa.e
saath gar rahe us kā kyā hī shādmānī hai
vaa.e muflisī merī maiñ nahīñ thā is qābil
aa ga.ī vo pahlū meñ us kī mehrbānī hai
daera mohabbat ka jis ki ye kahani hai
is taraf hai ek muflis duje samt rani hai
hae dil ye bechaara KHud ki bhi nahin sunta
dil ki dhaDkanon pe ab us ki hukmrani hai
dekh len agar us ko hosh mein nahin rahte
husn ki hai dewi ya hur-e-asmani hai
sochta hun jab us ko KHwab mein wo aa jae
sath gar rahe us ka kya hi shadmani hai
wae muflisi meri main nahin tha is qabil
aa gai wo pahlu mein us ki mehrbani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.