daere khinch liye baat se aage na gae
dā.ere khīñch liye baat se aage na ga.e
tañg-nazar log rivāyāt se aage na ga.e
chāhte ham to bahut kuchh the zamāne meñ magar
tujh ko chāhā to tirī zaat se aage na ga.e
kārvāñ Thahr ga.e raat guzar jaane tak
rāhbar the ki rivāyāt se aage na ga.e
tujh se bichhḌe to ka.ī baar sadā aa.ī hameñ
ham ga.e bhī to ḳharābāt se aage na ga.e
ham ko 'mumtāz' thī ummīd vafā kī jin se
vo bhī do chaar mulāqāt se aage na ga.e
daere khinch liye baat se aage na gae
tang-nazar log riwayat se aage na gae
chahte hum to bahut kuchh the zamane mein magar
tujh ko chaha to teri zat se aage na gae
karwan Thahr gae raat guzar jaane tak
rahbar the ki riwayat se aage na gae
tujh se bichhDe to kai bar sada aai hamein
hum gae bhi to KHarabaat se aage na gae
hum ko 'mumtaz' thi ummid wafa ki jin se
wo bhi do chaar mulaqat se aage na gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.