dagh-e-gham-e-firaq miTaya na jaega
dāġh-e-ġham-e-firāq miTāyā na jā.egā
raushan hai ye charāġh bujhāyā na jā.egā
hāl-e-dil-e-ḳharāb sunāyā na jā.egā
afsurda ik hasīñ ko banāyā na jā.egā
ra.anā.ī-e-chaman hī to bulbul kī jaan hai
hadd-e-chaman se bulbul-e-shaidā na jā.egā
muddat ke baa'd ek Thikāna milā mujhe
ab āstāñ ye chhoḌ ke jaayā na jā.egā
jaañ muzmahil udaas nazar chehra sogvār
aise to us kī bazm meñ jaayā na jaa.e gā
hai naqsh-e-pā kisī kā nigāhoñ ke sāmne
ab sar kisī ke dar pe jhukāyā na jā.egā
nairañgī-e-zamāna kā ye rang hai 'qadīr'
ab dost ko bhī dost banāyā na jā.egā
dagh-e-gham-e-firaq miTaya na jaega
raushan hai ye charagh bujhaya na jaega
haal-e-dil-e-KHarab sunaya na jaega
afsurda ek hasin ko banaya na jaega
ranai-e-chaman hi to bulbul ki jaan hai
hadd-e-chaman se bulbul-e-shaida na jaega
muddat ke ba'd ek Thikana mila mujhe
ab aastan ye chhoD ke jaya na jaega
jaan muzmahil udas nazar chehra sogwar
aise to us ki bazm mein jaya na jae ga
hai naqsh-e-pa kisi ka nigahon ke samne
ab sar kisi ke dar pe jhukaya na jaega
nairangi-e-zamana ka ye rang hai 'qadir'
ab dost ko bhi dost banaya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.