dagh-e-gham-e-hayat farozan hai in dinon
dagh-e-gham-e-hayat farozan hai in dinon
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
dāġh-e-ġham-e-hayāt farozāñ hai in dinoñ
rūh-e-bahār ḳhār-badāmāñ hai in dinoñ
āzād ho ke jashn-e-bahārāñ manā.eñ kyā
ye dil to vaqf-e-zahmat-e-zindāñ hai in dinoñ
kyā hogā ġhuncha-hā-e-tamanna kā dekhiye
gulchīñ kī dastaras meñ gulistāñ hai in dinoñ
duniyā-e-mehr-o-lutf-o-vafā ḳhvāb ho ga.ī
insāñ sitam-rasīda-e-insāñ hai in dinoñ
chaḌhne lagā hai dil pe bhī tārīkiyoñ kā rang
maddham sī apnī sham-e-shabistāñ hai in dinoñ
lafz-e-sukūn sirf kitāboñ meñ rah gayā
har-dam ḳhayāl-e-gardish-e-daurāñ hai in dinoñ
dil kā qarār chain na jiine kī aarzū
kashtī hī nazr-e-shorish-e-tūfāñ hai in dinoñ
yaañ ābrū-e-fikr-e-suḳhan bhī ga.ī 'kalīm'
ab kyā batā.eñ kaun ġhazal-ḳhvāñ hai in dinoñ
dagh-e-gham-e-hayat farozan hai in dinon
ruh-e-bahaar KHar-badaman hai in dinon
aazad ho ke jashn-e-bahaaran manaen kya
ye dil to waqf-e-zahmat-e-zindan hai in dinon
kya hoga ghuncha-ha-e-tamanna ka dekhiye
gulchin ki dastaras mein gulistan hai in dinon
duniya-e-mehr-o-lutf-o-wafa KHwab ho gai
insan sitam-rasida-e-insan hai in dinon
chaDhne laga hai dil pe bhi tarikiyon ka rang
maddham si apni sham-e-shabistan hai in dinon
lafz-e-sukun sirf kitabon mein rah gaya
har-dam KHayal-e-gardish-e-dauran hai in dinon
dil ka qarar chain na jine ki aarzu
kashti hi nazr-e-shorish-e-tufan hai in dinon
yan aabru-e-fikr-e-suKHan bhi gai 'kalim'
ab kya bataen kaun ghazal-KHwan hai in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.