daim us zulf ki KHwahish mein nahin rahna hai
daa.im us zulf kī ḳhvāhish meñ nahīñ rahnā hai
'umr-bhar ek hī bandish meñ nahīñ rahnā hai
ik to dil rang kā shaidā.ī hai tis par is ko
ek hī tarah kī poshish meñ nahīñ rahnā hai
kuchh to hamdard haiñ dushman bhī hamāre aur phir
yaar logoñ ko bhī sāzish meñ nahīñ rahnā hai
tujh ko ik aan meñ chhīneñge jahāñ vāloñ se
sirf pā lene kī koshish meñ nahīñ rahnā hai
daim us zulf ki KHwahish mein nahin rahna hai
'umr-bhar ek hi bandish mein nahin rahna hai
ek to dil rang ka shaidai hai tis par is ko
ek hi tarah ki poshish mein nahin rahna hai
kuchh to hamdard hain dushman bhi hamare aur phir
yar logon ko bhi sazish mein nahin rahna hai
tujh ko ek aan mein chhinenge jahan walon se
sirf pa lene ki koshish mein nahin rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.