daimi dard ki kahani hai
dā.imī dard kī kahānī hai
kaisī be-dard zindagānī hai
jab se shahr-e-sanam se nikle haiñ
sirf aur sirf lā-makānī hai
maiñ abhī tak vahī divāna huuñ
kaifiyat bhī vahī purānī hai
kyā na hāsil huā hameñ phir bhī
kyoñ ye ehsās-e-rā.igānī hai
ishq hotā agar lahū hotā
par tirī aañkh meñ to paanī hai
aa ke ḳhvāboñ meñ lauT jaate ho
vasl kaisā ye ḳhush-gumānī hai
phir bichhaḌnā bhī hai tumheñ mujh se
mujh ko āvāz bhī lagānī hai
ruk bhī jaa.e to ġham nahīñ hogā
ab ye dhaḌkan kise sunānī hai
koī maz.hab nahīñ hai ḳhatre meñ
sab siyāsat kī lan-tarānī hai
kyā hai 'afrang' haisiyat apnī
bas-ki yāroñ kī qadrdānī hai
daimi dard ki kahani hai
kaisi be-dard zindagani hai
jab se shahr-e-sanam se nikle hain
sirf aur sirf la-makani hai
main abhi tak wahi diwana hun
kaifiyat bhi wahi purani hai
kya na hasil hua hamein phir bhi
kyon ye ehsas-e-raigani hai
ishq hota agar lahu hota
par teri aankh mein to pani hai
aa ke KHwabon mein lauT jate ho
wasl kaisa ye KHush-gumani hai
phir bichhaDna bhi hai tumhein mujh se
mujh ko aawaz bhi lagani hai
ruk bhi jae to gham nahin hoga
ab ye dhaDkan kise sunani hai
koi mazhab nahin hai KHatre mein
sab siyasat ki lan-tarani hai
kya hai 'afrang' haisiyat apni
bas-ki yaron ki qadrdani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.