dam dekhe na nam dekha hai
daam dekhe na naam dekhā hai
ham ne bas apnā kaam dekhā hai
shahr kā shahr ban gayā jangal
aap kā intizām dekhā hai
jo ba-zāhir nazar nahīñ aatā
ham ne vo qatl-e-ām dekhā hai
gardish-e-sub.h-o-shām kyā dekheñ
us kā tarz-e-ḳhirām dekhā hai
zahmat-e-rahnumā.ī mat kiije
ham ne apnā maqām dekhā hai
us ne dekhā hai kab mirī jānib
az-rah-e-intiqām dekhā hai
tum ne dekhā nahīñ hai 'yūnus' ko
tā.ir-e-zer-e-dām dekhā hai
dam dekhe na nam dekha hai
hum ne bas apna kaam dekha hai
shahr ka shahr ban gaya jangal
aap ka intizam dekha hai
jo ba-zahir nazar nahin aata
hum ne wo qatl-e-am dekha hai
gardish-e-subh-o-sham kya dekhen
us ka tarz-e-KHiram dekha hai
zahmat-e-rahnumai mat kije
hum ne apna maqam dekha hai
us ne dekha hai kab meri jaanib
az-rah-e-intiqam dekha hai
tum ne dekha nahin hai 'yunus' ko
tair-e-zer-e-dam dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.