dam-e-KHayal-e-zulf-e-butan se chhuDa liya
dām-e-ḳhayāl-e-zulf-e-butāñ se chhuḌā liyā
kyā baal baal mujh ko ḳhudā ne bachā liyā
ab us ko rahm aa.e ye qismat ke haath hai
ban jaa.e baat haal to ham ne banā liyā
sharmā ke muñh chhupāne kā andāz dekhnā
goyā ki us ne 'aib hamārā chhupā liyā
yā ye ki ham ne tark-e-mohabbat kī Thaan lī
yā ye huā ki aaj kisī ko manā liyā
hotā huuñ ek naale pe meñ qatl haa.e haa.e
āvāz de ke apnī qazā ko bulā liyā
zālim fareb de ke na le dil ġharīb kā
ik roz kaam aa.egā terā diyā liyā
rashk-e-raqīb ho ki ġham-e-dūrī-e-habīb
jo vaqt par nasīb huā ham ne khā liyā
maiñ kyā kahūñ ke jaan rahī kis 'azāb meñ
jab us ne mujh ko apnī barābar biThā liyā
jhūTā sahī zalīl sahī koī kuchh kahe
maiñ ne to aaj un ko gale se lagā liyā
pūchhī hai dost ban ke mire dil kī aarzū
us ne zabān de ke mirā mudda'ā liyā
le koī shaan kī to bas itnā kiyā karo
jis se koī baḌā.ī sunī aazmā liyā
mehmān dost ko jo kiyā dostoñ ke saath
dekhā thā jis ko dīda-varoñ ko dikhā liyā
us kī bhī maut sahl ho sakrāt se bache
jis ne hamārī naz' meñ naam aap kā liyā
baiThe to baat karne na dī bazm-e-ġhair meñ
uTThe to apne saath hī mujh ko uThā liyā
dil kā hī ek naam hai shāyad ḳhayāl bhī
aisā agar nahīñ hai to dil us ne kyā liyā
mā'shūq ko to jalva-numā.ī zarūr hai
dekho 'azīz misr ke so maiñ dikhā liyā
is darja tū ne ḳhasta kiyā ai ġham-e-firāq
ham ko hamārī gor ne hoñToñ se khā liyā
samjhā 'safī' ko aap ne jo kuchh ġhalat hai ye
duniyā kā bad-ma.āsh zamāne kā chāliyā
dam-e-KHayal-e-zulf-e-butan se chhuDa liya
kya baal baal mujh ko KHuda ne bacha liya
ab us ko rahm aae ye qismat ke hath hai
ban jae baat haal to hum ne bana liya
sharma ke munh chhupane ka andaz dekhna
goya ki us ne 'aib hamara chhupa liya
ya ye ki hum ne tark-e-mohabbat ki Than li
ya ye hua ki aaj kisi ko mana liya
hota hun ek nale pe mein qatl hae hae
aawaz de ke apni qaza ko bula liya
zalim fareb de ke na le dil gharib ka
ek roz kaam aaega tera diya liya
rashk-e-raqib ho ki gham-e-duri-e-habib
jo waqt par nasib hua hum ne kha liya
main kya kahun ke jaan rahi kis 'azab mein
jab us ne mujh ko apni barabar biTha liya
jhuTa sahi zalil sahi koi kuchh kahe
main ne to aaj un ko gale se laga liya
puchhi hai dost ban ke mere dil ki aarzu
us ne zaban de ke mera mudda'a liya
le koi shan ki to bas itna kiya karo
jis se koi baDai suni aazma liya
mehman dost ko jo kiya doston ke sath
dekha tha jis ko dida-waron ko dikha liya
us ki bhi maut sahl ho sakraat se bache
jis ne hamari naz' mein nam aap ka liya
baiThe to baat karne na di bazm-e-ghair mein
uTThe to apne sath hi mujh ko uTha liya
dil ka hi ek nam hai shayad KHayal bhi
aisa agar nahin hai to dil us ne kya liya
ma'shuq ko to jalwa-numai zarur hai
dekho 'aziz misr ke so main dikha liya
is darja tu ne KHasta kiya ai gham-e-firaq
hum ko hamari gor ne honTon se kha liya
samjha 'safi' ko aap ne jo kuchh ghalat hai ye
duniya ka bad-maash zamane ka chaaliya
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 32)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.