daman-e-gul mein wo thi ashk-fishani ki tarah
dāman-e-gul meñ vo thī ashk-fishānī kī tarah
maiñ ne chāhā thā jise raat kī raanī kī tarah
misl-e-ḳhvāhish jinheñ maiñ rakhtā huuñ afsos ki vo
merī yādeñ bhī nahīñ rakhte nishānī kī tarah
us ko samjhā.ūñ to kaise jo rahā dil meñ mire
na hī alfāz kī sūrat na ma.ānī kī tarah
fan kā da.avā vo kiyā karte haiñ hairat hai mujhe
'ġhālib'-o-'zauq' ke jaise haiñ na 'fānī' kī tarah
karbalā meñ jo madīne ke musāfir pahoñche
ḳhuun phir un kā bahāyā gayā paanī kī tarah
'faiz' ġhazloñ ko salīqe se sañvārā maiñ ne
merā har sher hai dariyā kī ravānī kī tarah
daman-e-gul mein wo thi ashk-fishani ki tarah
main ne chaha tha jise raat ki rani ki tarah
misl-e-KHwahish jinhen main rakhta hun afsos ki wo
meri yaaden bhi nahin rakhte nishani ki tarah
us ko samjhaun to kaise jo raha dil mein mere
na hi alfaz ki surat na maani ki tarah
fan ka dawa wo kiya karte hain hairat hai mujhe
'ghaalib'-o-'zauq' ke jaise hain na 'fani' ki tarah
karbala mein jo madine ke musafir pahonche
KHun phir un ka bahaya gaya pani ki tarah
'faiz' ghazlon ko saliqe se sanwara main ne
mera har sher hai dariya ki rawani ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.