daman-e-hasti mein patthar bhar liye
dāman-e-hastī meñ patthar bhar liye
ham ne kuchh kār-e-numāyāñ kar liye
kho ga.e nazdīkiyoñ ke pher meñ
dūriyoñ ke marhale tai kar liye
jiine vāloñ ko salīqa aa gayā
zindagī kī dilkashī par mar liye
ho ga.e utnā hī maqbūl-e-jahāñ
jis qadar ilzām apne sar liye
hausla-mandī nahīñ to kuchh nahīñ
valvale hoñ laakh bāl-o-par liye
be-kasī insāf ko rotī rahī
jurm-e-nā-karda-gunāhī sar liye
choT phūloñ kī bhī kuchh kam to nahīñ
sang-dil baiThe haiñ kyoñ patthar liye
tangī-e-dāmāñ hameñ rah rah ga.ī
sab ne apne apne dāman bhar liye
dar-ba-dar phirte haiñ kis ummīd par
ahl-e-dil ehsās ke gauhar liye
khoī khoī zindagī hai aur ham
dil meñ ik tasvīr-e-be-e-paikar liye
muntazir haiñ apnoñ kī bāheñ 'rishī'
āstīnoñ meñ chhupe ḳhanjar liye
daman-e-hasti mein patthar bhar liye
hum ne kuchh kar-e-numayan kar liye
kho gae nazdikiyon ke pher mein
duriyon ke marhale tai kar liye
jine walon ko saliqa aa gaya
zindagi ki dilkashi par mar liye
ho gae utna hi maqbul-e-jahan
jis qadar ilzam apne sar liye
hausla-mandi nahin to kuchh nahin
walwale hon lakh baal-o-par liye
be-kasi insaf ko roti rahi
jurm-e-na-karda-gunahi sar liye
choT phulon ki bhi kuchh kam to nahin
sang-dil baiThe hain kyon patthar liye
tangi-e-daman hamein rah rah gai
sab ne apne apne daman bhar liye
dar-ba-dar phirte hain kis ummid par
ahl-e-dil ehsas ke gauhar liye
khoi khoi zindagi hai aur hum
dil mein ek taswir-e-be-e-paikar liye
muntazir hain apnon ki bahen 'rishi'
aastinon mein chhupe KHanjar liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.