daman-e-zist ko iman se bhar bhi dena
dāman-e-zīst ko īmān se bhar bhī denā
ai ḳhudā merī duāoñ meñ asar bhī denā
ye tire zikr se ġhāfil na ho ik lamha bhī
ḳhāna-e-dil ko tirī yaad se bhar bhī denā
tere jalvoñ se ho pur-nūr mirā ḳhāna-e-dil
ho taḌap jis meñ mujhe aisī nazar bhī denā
ye kisī aur ke aage na jhuke tere sivā
sar meñ saudā ho tirā bas vahī sar bhī denā
terī ḳhātir hameñ jiine kā hunar aatā hai
ham ko aatā hai tire naam pe sar bhī denā
jis se mil jaa.e mujhe manzil-e-hastī merī
ai ḳhudā mujh ko vahī azm-e-safar bhī denā
kor-bīnoñ ko tū chāhe to basīrat de de
tū samajhtā hai kise aisī nazar bhī denā
vo bhī 'maqsūd' haiñ arbāb-e-nazar meñ shāmil
un ko lāzim hai tujhe dād-e-hunar bhī denā
daman-e-zist ko iman se bhar bhi dena
ai KHuda meri duaon mein asar bhi dena
ye tere zikr se ghafil na ho ek lamha bhi
KHana-e-dil ko teri yaad se bhar bhi dena
tere jalwon se ho pur-nur mera KHana-e-dil
ho taDap jis mein mujhe aisi nazar bhi dena
ye kisi aur ke aage na jhuke tere siwa
sar mein sauda ho tera bas wahi sar bhi dena
teri KHatir hamein jine ka hunar aata hai
hum ko aata hai tere nam pe sar bhi dena
jis se mil jae mujhe manzil-e-hasti meri
ai KHuda mujh ko wahi azm-e-safar bhi dena
kor-binon ko tu chahe to basirat de de
tu samajhta hai kise aisi nazar bhi dena
wo bhi 'maqsud' hain arbab-e-nazar mein shamil
un ko lazim hai tujhe dad-e-hunar bhi dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.