daman-e-zist mein daghon ke siwa kuchh bhi nahin
dāman-e-zīst meñ dāġhoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
lauT aa.egā koī shahr ke bāzāroñ se
kitnā āseb-zada hai ye zamāne kā chalan
Dar sā lagtā hai mujhe apnī hī dīvāroñ se
TūTne vāloñ ke ehsās se pūchho jā kar
log vāqif hī kahāñ hote haiñ jhankāroñ se
jhāñk kar dekhiye andar to añdherā hogā
raushnī laakh nikaltī rahe mīnāroñ se
kaun royā thā yahāñ kis ne sadā.eñ dī thiiñ
raat phir pūchh rahī thī mirī dīvāroñ se
yaas insān ko bīmār banātī hai 'nasīm'
zindagī bojh hai uThtā nahīñ bīmāroñ se
daman-e-zist mein daghon ke siwa kuchh bhi nahin
lauT aaega koi shahr ke bazaron se
kitna aaseb-zada hai ye zamane ka chalan
Dar sa lagta hai mujhe apni hi diwaron se
TuTne walon ke ehsas se puchho ja kar
log waqif hi kahan hote hain jhankaron se
jhank kar dekhiye andar to andhera hoga
raushni lakh nikalti rahe minaron se
kaun roya tha yahan kis ne sadaen di thin
raat phir puchh rahi thi meri diwaron se
yas insan ko bimar banati hai 'nasim'
zindagi bojh hai uThta nahin bimaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.