daman ki panahon se mukar kyon nahin jate
dāman kī panāhoñ se mukar kyoñ nahīñ jaate
aañsū mirī palkoñ pe Thahar kyoñ nahīñ jaate
ham log azal se haiñ asīr-e-shab-e-zulmat
tum chāñd ho to chāñd-nagar kyoñ nahīñ jaate
bachchoñ ke masā.il haiñ mahājan ke taqāze
ye ham hī samajhte haiñ ki ghar kyoñ nahīñ jaate
kyoñ karte ho iqrār bhī inkār kī sūrat
auroñ kī tarah saaf mukar kyoñ nahīñ jaate
maanā ki har ik moḌ pe bātil kī hai dīvār
tum rāh-e-haqīqat se guzar kyoñ nahīñ jaate
chalnā hai agar apne hī pairoñ pe tumheñ 'shān'
tum vaqt ke kāñdhe se utar kyoñ nahīñ jaate
daman ki panahon se mukar kyon nahin jate
aansu meri palkon pe Thahar kyon nahin jate
hum log azal se hain asir-e-shab-e-zulmat
tum chand ho to chand-nagar kyon nahin jate
bachchon ke masail hain mahajan ke taqaze
ye hum hi samajhte hain ki ghar kyon nahin jate
kyon karte ho iqrar bhi inkar ki surat
auron ki tarah saf mukar kyon nahin jate
mana ki har ek moD pe baatil ki hai diwar
tum rah-e-haqiqat se guzar kyon nahin jate
chalna hai agar apne hi pairon pe tumhein 'shan'
tum waqt ke kandhe se utar kyon nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.