daman pe jam ke rah gai ya aastin par
dāman pe jam ke rah ga.ī yā āstīn par
Tapkī na ek buuñd lahū kī zamīn par
insāniyat ke dars kī takmīl ho ga.ī
aa.egā ab na koī payambar zamīn par
āñdhī tavahhumāt kī kis zor kī chalī
uḌne lagī hai dhuul fazā-e-yaqīn par
aib-o-hunar parakhne kā jis ko shu.ūr hai
aa.e na pyaar kyoñ mujhe us nukta-chīn par
phūTī tire laboñ ke tabassum se jo kiran
chamkī lakīr ban ke sahar kī jabīn par
ujḌā to phir basā na kabhī qasr-e-dil mirā
vīrāniyoñ kā saayā hai ab shah-nashīn par
guzrā hazār talḳhī-e-hālāt se magar
ubhrī koī shikan na 'asar' kī jabīn par
daman pe jam ke rah gai ya aastin par
Tapki na ek bund lahu ki zamin par
insaniyat ke dars ki takmil ho gai
aaega ab na koi payambar zamin par
aandhi tawahhumat ki kis zor ki chali
uDne lagi hai dhul faza-e-yaqin par
aib-o-hunar parakhne ka jis ko shuur hai
aae na pyar kyon mujhe us nukta-chin par
phuTi tere labon ke tabassum se jo kiran
chamki lakir ban ke sahar ki jabin par
ujDa to phir basa na kabhi qasr-e-dil mera
viraniyon ka saya hai ab shah-nashin par
guzra hazar talKHi-e-haalat se magar
ubhri koi shikan na 'asar' ki jabin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.