daman pe wo ashkon ki tahrir nazar aai
dāman pe vo ashkoñ kī tahrīr nazar aa.ī
har ġham meñ mohabbat kī tasvīr nazar aa.ī
ye fasl-e-bahārāñ kā e.ajāz ma.āz-allāh
zanjīr na thī lekin zanjīr nazar aa.ī
ā.īna-e-irfāñ meñ jab husn-e-azal dekhā
har barg kī jumbish meñ taqdīr nazar aa.ī
ai shām-e-alam ruk jā ik ashk ne lau dī hai
ab tujh se nibhāne kī tadbīr nazar aa.ī
gulshan kī fazāoñ ne kaisā ye chalan badlā
phūloñ meñ bhī kāñToñ kī tāsīr nazar aa.ī
hāsil hai sukūñ lekin betāb nigāheñ haiñ
āḳhir ye hameñ kis kī tasvīr nazar aa.ī
nākāmi-e-paiham se jab TuuT ga.ī himmat
taskīn kī ik sūrat taqdīr nazar aa.ī
ā.īna-e-gulshan par jab chashm-e-ḳhirad Thahrī
phūloñ ke bhī pairoñ meñ zanjīr nazar aa.ī
ham un se shikāyat bhī ai 'shauq' kahāñ karte
har-gām pe jab apnī taqsīr nazar aa.ī
daman pe wo ashkon ki tahrir nazar aai
har gham mein mohabbat ki taswir nazar aai
ye fasl-e-bahaaran ka eajaz maaz-allah
zanjir na thi lekin zanjir nazar aai
aaina-e-irfan mein jab husn-e-azal dekha
har barg ki jumbish mein taqdir nazar aai
ai sham-e-alam ruk ja ek ashk ne lau di hai
ab tujh se nibhane ki tadbir nazar aai
gulshan ki fazaon ne kaisa ye chalan badla
phulon mein bhi kanTon ki tasir nazar aai
hasil hai sukun lekin betab nigahen hain
aaKHir ye hamein kis ki taswir nazar aai
nakaami-e-paiham se jab TuT gai himmat
taskin ki ek surat taqdir nazar aai
aaina-e-gulshan par jab chashm-e-KHirad Thahri
phulon ke bhi pairon mein zanjir nazar aai
hum un se shikayat bhi ai 'shauq' kahan karte
har-gam pe jab apni taqsir nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.