dana hue buzurg hue rahnuma hue
daanā hue buzurg hue rahnumā hue
vo din ki ham the sham-e-majālis havā hue
un ko nahīñ dimāġh-e-talazzuz jahān meñ
jo ibtidā se vaqf-e-ġham-e-intihā hue
ḳhurshed kī nigāh se shabnam hai mushtahar
vo āshnā hue haiñ to sab āshnā hue
manzil hai shahryārī-e-ālam to dekhnā
is raah meñ hazāroñ qabīle fanā hue
had se ziyāda ham ne ḳhushāmad butoñ kī kī
ye log baḌhte baḌhte bil-āḳhir ḳhudā hue
is kā bhī kuchh hisāb kareñge ba-roz-e-hashr
naale azal se kitne sipurd-e-sabā hue
karte rahe huzūr pe takiya aḳhīr tak
ham āsare ke hone se be-āsrā hue
kis din hamārā hirs-o-havā se barī thā dil
kis roz ham se apne farīze adā hue
dana hue buzurg hue rahnuma hue
wo din ki hum the sham-e-majalis hawa hue
un ko nahin dimagh-e-talazzuz jahan mein
jo ibtida se waqf-e-gham-e-intiha hue
KHurshed ki nigah se shabnam hai mushtahar
wo aashna hue hain to sab aashna hue
manzil hai shahryari-e-alam to dekhna
is rah mein hazaron qabile fana hue
had se ziyaada hum ne KHushamad buton ki ki
ye log baDhte baDhte bil-aKHir KHuda hue
is ka bhi kuchh hisab karenge ba-roz-e-hashr
nale azal se kitne sipurd-e-saba hue
karte rahe huzur pe takiya aKHir tak
hum aasare ke hone se be-asra hue
kis din hamara hirs-o-hawa se bari tha dil
kis roz hum se apne farize ada hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.