Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha

Qaisarul Jafri

danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    dānishvaroñ ke bas meñ ye radd-e-amal na thā

    maiñ aisī teġh le ke uThā jis meñ phal na thā

    kyā dard TuuT TuuT ke barsā hai raat bhar

    itnā ġhubār to mire chehre pe kal na thā

    pathrāv kar rahā hai vo ḳhud apnī zaat par

    kyā dil ke mas.ale koī aur hal na thā

    shāḳheñ ladī huī thiiñ to patthar na thā nasīb

    patthar paḌe mile to daraḳhtoñ meñ phal na thā

    shab havā se haar ga.ī mere dil aag

    yaḳh-basta shahr meñ koī radd-o-badal na thā

    ab ek ek harf se chhantī hai raushnī

    tum se mile na the to ye husn-e-ġhazal na thā

    'qaisar'! zamīr-e-vaqt ko dekhā kured ke

    sadiyāñ rakhī thiiñ dosh pe muTThī meñ pal na thā

    danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha

    main aisi tegh le ke uTha jis mein phal na tha

    kya dard TuT TuT ke barsa hai raat bhar

    itna ghubar to mere chehre pe kal na tha

    pathraw kar raha hai wo KHud apni zat par

    kya dil ke masale ka koi aur hal na tha

    shaKHen ladi hui thin to patthar na tha nasib

    patthar paDe mile to daraKHton mein phal na tha

    shab ki hawa se haar gai mere dil ki aag

    yaKH-basta shahr mein koi radd-o-badal na tha

    ab ek ek harf se chhanti hai raushni

    tum se mile na the to ye husn-e-ghazal na tha

    'qaisar'! zamir-e-waqt ko dekha kured ke

    sadiyan rakhi thin dosh pe muTThi mein pal na tha

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 225)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now