danista kar ke tark-e-safar ro paDe hain hum
dānista kar ke tark-e-safar ro paḌe haiñ ham
kis ko hamāre ġham kī ḳhabar ro paḌe haiñ ham
samjhe the ahl-e-bazm ki ham muskurā.eñge
ye bhī hai ik fareb-e-nazar ro paḌe haiñ ham
zikr-e-ġham-e-hayāt phir ik baar chhiḌ gayā
mahfil meñ terī bār-e-digar ro paḌe haiñ ham
āñkhoñ ke sāmne vahī manzil hai daar kī
yaad aa.ī terī rāhguzar ro paḌe haiñ ham
fasl-e-bahār aa.ī to ye bhī sitam huā
hañsne lage haiñ zaḳhm-e-jigar ro paḌe haiñ ham
kyā kyā umīdeñ le ke guzārī thī shām-e-ġham
dekhā magar jo rañg-e-sahar ro paḌe haiñ ham
ab 'tāj' mil gayā hai hameñ mansab-e-hayāt
hai intihā ḳhushī kī magar ro paḌe haiñ ham
danista kar ke tark-e-safar ro paDe hain hum
kis ko hamare gham ki KHabar ro paDe hain hum
samjhe the ahl-e-bazm ki hum muskuraenge
ye bhi hai ek fareb-e-nazar ro paDe hain hum
zikr-e-gham-e-hayat phir ek bar chhiD gaya
mahfil mein teri bar-e-digar ro paDe hain hum
aankhon ke samne wahi manzil hai dar ki
yaad aai teri rahguzar ro paDe hain hum
fasl-e-bahaar aai to ye bhi sitam hua
hansne lage hain zaKHm-e-jigar ro paDe hain hum
kya kya umiden le ke guzari thi sham-e-gham
dekha magar jo rang-e-sahar ro paDe hain hum
ab 'taj' mil gaya hai hamein mansab-e-hayat
hai intiha KHushi ki magar ro paDe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.