dar tak mujhko khinch lane par
daar tak mujh ko khīñch laane par
harf to aa.egā zamāne par
kis Thikāne pe aaj pahuñchā huuñ
aaj pahuñchā huuñ kis Thikāne par
dil ne majbūr kar diyā hogā
aap aa.e haiñ kab bulāne par
maut hairāñ thī dekh kar mujh ko
zindagī thī mujhe bachāne par
hashr barpā hai merī āñkhoñ meñ
vo tulā hai mujhe sulāne par
phir se niklī hai sūrat-e-ta.amīr
ek taḳhrīb ke dahāne par
maiñ to mauqūf ho chukā 'iqrār'
kurra-e-arz ko ghumāne par
dar tak mujh ko khinch lane par
harf to aaega zamane par
kis Thikane pe aaj pahuncha hun
aaj pahuncha hun kis Thikane par
dil ne majbur kar diya hoga
aap aae hain kab bulane par
maut hairan thi dekh kar mujh ko
zindagi thi mujhe bachane par
hashr barpa hai meri aankhon mein
wo tula hai mujhe sulane par
phir se nikli hai surat-e-tamir
ek taKHrib ke dahane par
main to mauquf ho chuka 'iqrar'
kurra-e-arz ko ghumane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.