dastan dil ki kabhi humse sunai na gai
dāstāñ dil kī kabhī ham se sunā.ī na ga.ī
aag ashkoñ se kabhī dil kī bujhā.ī na ga.ī
ham ne chāhā to bahut un ko bhulā deñ lekin
yaad un kī kabhī is dil se bhulā.ī na ga.ī
ġham-e-jānāñ bhī thā darpesh ġham-e-daurāñ bhī
kashtī-e-jāñ ye kināre pe lagā.ī na ga.ī
zaḳhm ik aur diyā aap ne jaate jaate
baat yuuñ bigḌī ki phir baat banā.ī na ga.ī
vaqt ne ek hī lamhe meñ use toḌ diyā
ek dīvār jo donoñ se girā.ī na ga.ī
log bhar lete haiñ dāman meñ masarrat kaise
ham se to dard kī daulat bhī kamā.ī na ga.ī
muntaqil kaise vo kar pā.egī virsa aage
gar na.ī nasl ko tahzīb sikhā.ī na ga.ī
kaise mil pā.eñge ham ahl-e-qalam se 'azrā'
ham se gar bazm-e-suḳhan aaj sajā.ī na ga.ī
dastan dil ki kabhi hum se sunai na gai
aag ashkon se kabhi dil ki bujhai na gai
hum ne chaha to bahut un ko bhula den lekin
yaad un ki kabhi is dil se bhulai na gai
gham-e-jaanan bhi tha darpesh gham-e-dauran bhi
kashti-e-jaan ye kinare pe lagai na gai
zaKHm ek aur diya aap ne jate jate
baat yun bigDi ki phir baat banai na gai
waqt ne ek hi lamhe mein use toD diya
ek diwar jo donon se girai na gai
log bhar lete hain daman mein masarrat kaise
hum se to dard ki daulat bhi kamai na gai
muntaqil kaise wo kar paegi wirsa aage
gar nai nasl ko tahzib sikhai na gai
kaise mil paenge hum ahl-e-qalam se 'azra'
hum se gar bazm-e-suKHan aaj sajai na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.