dastan-e-gham sunaun kis tarah
dāstān-e-ġham sunā.ūñ kis tarah
zaḳhm-e-dil un ko dikhā.ūñ kis tarah
mere rone par lagī haiñ bandisheñ
aañkh se aañsū bahā.ūñ kis tarah
vo vafā ke naam se anjān hai
dostī us se nibhā.ūñ kis tarah
pyaar se jab uTh gayā hai e'timād
jaan kī baazī lagā.ūñ kis tarah
kāġhazī phūloñ kā guldasta liye
yaar kī mahfil meñ jā.ūñ kis tarah
pyaar kā tohfa diyā jis ne mujhe
aise mohsin ko bhulā.ūñ kis tarah
'āshnā' thā jo mire har raaz se
aise hamdam ko bhulā.ūñ kis tarah
dastan-e-gham sunaun kis tarah
zaKHm-e-dil un ko dikhaun kis tarah
mere rone par lagi hain bandishen
aankh se aansu bahaun kis tarah
wo wafa ke nam se anjaan hai
dosti us se nibhaun kis tarah
pyar se jab uTh gaya hai e'timad
jaan ki bazi lagaun kis tarah
kaghazi phulon ka guldasta liye
yar ki mahfil mein jaun kis tarah
pyar ka tohfa diya jis ne mujhe
aise mohsin ko bhulaun kis tarah
'ashna' tha jo mere har raaz se
aise hamdam ko bhulaun kis tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.