dastan-e-ulfat mein kaisi ye ghaDi aai
dāstān-e-ulfat meñ kaisī ye ghaḌī aa.ī
raqs meñ hai parvāna ḳhauf meñ tamāshā.ī
is jahāñ ke maktab ke kuchh sabaq nirāle the
mas.ale ulajhne par zindagī samajh aa.ī
un se vasl ke lamhe muḳhtasar se the lekin
dil meñ un kī yādoñ kī gūñjtī hai shahnā.ī
umr Dhalne par aise duur ho ga.e apne
jaise shaam hote hī gum ho jaa.e parchhā.ī
tum ne us ke hāthoñ aaj kyā payām bhejā hai
kyoñ lajā rahī hai yuuñ muskurā ke purvā.ī
ajnabī haiñ chehre par maiñ nahīñ huuñ begāna
terī merī rūhoñ kī janmoñ kī shanāsā.ī
un laboñ kī larzish kī har adā qayāmat hai
lafz un ke jaadū haiñ lams hai karishmā.ī
dastan-e-ulfat mein kaisi ye ghaDi aai
raqs mein hai parwana KHauf mein tamashai
is jahan ke maktab ke kuchh sabaq nirale the
masale ulajhne par zindagi samajh aai
un se wasl ke lamhe muKHtasar se the lekin
dil mein un ki yaadon ki gunjti hai shahnai
umr Dhalne par aise dur ho gae apne
jaise sham hote hi gum ho jae parchhai
tum ne us ke hathon aaj kya payam bheja hai
kyon laja rahi hai yun muskura ke purwai
ajnabi hain chehre par main nahin hun begana
teri meri ruhon ki janmon ki shanasai
un labon ki larzish ki har ada qayamat hai
lafz un ke jadu hain lams hai karishmai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.