Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dastan kah ke pareshan dil-e-nakaam na ho

Sharib Lakhnavi

dastan kah ke pareshan dil-e-nakaam na ho

Sharib Lakhnavi

MORE BYSharib Lakhnavi

    dāstāñ kah ke pareshāñ dil-e-nākām na ho

    is ḳhamoshī meñ bhī pinhāñ koī paiġhām na ho

    ishq meñ bhī hai taqāzā mirī ḳhuddārī

    jo mire dil ko milī hai vo ḳhalish-e-ām na ho

    māñgne tarīqa nahīñ aatā ham ko

    ġhair-mumkin hai tirī chashm-e-karam aam na ho

    phuul ke saa.e meñ kāñToñ ko bhī rahne diije

    sub.h qadr na jaa.e agar shaam na ho

    had se jo chiiz bhī baḌhtī hai badal jaatī hai

    kis tarah merī vafāoñ junūñ naam na ho

    aaj kyuuñ haath tire kaañp rahe haiñ saaqī

    dekh to ḳhuun ġharīboñ tah-e-jām na ho

    kaun aisā hai jo duniyā zabāñ ko roke

    maiñ ne maanā ki mire lab pe tirā naam na ho

    jalva-e-husn numāyāñ hai har ik zarre se

    kyā kiyā jaa.e agar zauq-e-nazar aam na ho

    kār-e-duniyā meñ lage rahte haiñ ham ai 'shārib'

    shā.irī us ke liye hai jise kuchh kaam na ho

    dastan kah ke pareshan dil-e-nakaam na ho

    is KHamoshi mein bhi pinhan koi paigham na ho

    ishq mein bhi hai taqaza meri KHuddari ka

    jo mere dil ko mili hai wo KHalish-e-am na ho

    mangne hi ka tariqa nahin aata hum ko

    ghair-mumkin hai teri chashm-e-karam aam na ho

    phul ke sae mein kanTon ko bhi rahne dije

    subh ki qadr na ki jae agar sham na ho

    had se jo chiz bhi baDhti hai badal jati hai

    kis tarah meri wafaon ka junun nam na ho

    aaj kyun hath tere kanp rahe hain saqi

    dekh to KHun gharibon ka tah-e-jam na ho

    kaun aisa hai jo duniya ki zaban ko roke

    main ne mana ki mere lab pe tera nam na ho

    jalwa-e-husn numayan hai har ek zarre se

    kya kiya jae agar zauq-e-nazar aam na ho

    kar-e-duniya mein lage rahte hain hum ai 'shaarib'

    shairi us ke liye hai jise kuchh kaam na ho

    Source :
    • Book : Firdaus-e-Nazar (Pg. 47)
    • Author : Sultan Haider Khan
    • Publication : Urdu Acadami U.P
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now