dastanon mein wo jadu hai na tafsiron mein hai
dāstānoñ meñ vo jaadū hai na tafsīroñ meñ hai
jo tirī āñkhoñ kī be-āvāz taqrīroñ meñ hai
rā.egāñ haiñ kal kī ḳhushiyāñ kal ke ġham bhī be-asar
ab bhalā rakkhā hī kyā maazī kī tasvīroñ meñ hai
terī āñkhoñ meñ agar paḌhne kī himmat hai to paḌh
karb kā mazmūñ mire māthe kī tahrīroñ meñ hai
us ke ik ik añg meñ vo bārhā paa.ī ga.ī
jo tanāsub kī kashish tarshe hue hīroñ meñ hai
vo chubhan sheroñ meñ Dhal jaa.e to mahshar ho bapā
jo abhī us shaḳhs kī guftār ke tīroñ meñ hai
har-qadam par chīḳh uThtī hai hazāroñ ghanTiyāñ
naġhmagī kaisī mire paañv kī zanjīroñ meñ hai
aañkh khulte hī ajab dhaḌkā sā dil ko lag gayā
vo kahāñ sapnoñ meñ thā jo un kī ta.abīroñ meñ hai
mutma.in haiñ ham kisī sūrat na manzar se haiñ ḳhush
nā-shakebā.ī kā nashtar apnī taqdīroñ meñ hai
dhuup kī shiddat ne un ko kar diyā garche niDhāl
phir bhī chalne kī lagan 'betāb' rahgīroñ meñ hai
dastanon mein wo jadu hai na tafsiron mein hai
jo teri aankhon ki be-awaz taqriron mein hai
raegan hain kal ki KHushiyan kal ke gham bhi be-asar
ab bhala rakkha hi kya mazi ki taswiron mein hai
teri aankhon mein agar paDhne ki himmat hai to paDh
karb ka mazmun mere mathe ki tahriron mein hai
us ke ek ek ang mein wo barha pai gai
jo tanasub ki kashish tarshe hue hiron mein hai
wo chubhan sheron mein Dhal jae to mahshar ho bapa
jo abhi us shaKHs ki guftar ke tiron mein hai
har-qadam par chiKH uThti hai hazaron ghanTiyan
naghmagi kaisi mere panw ki zanjiron mein hai
aankh khulte hi ajab dhaDka sa dil ko lag gaya
wo kahan sapnon mein tha jo un ki tabiron mein hai
mutmain hain hum kisi surat na manzar se hain KHush
na-shakebai ka nashtar apni taqdiron mein hai
dhup ki shiddat ne un ko kar diya garche niDhaal
phir bhi chalne ki lagan 'betab' rahgiron mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.