daba paDa hai kahin dasht mein KHazana mera
dabā paḌā hai kahīñ dasht meñ ḳhazāna mirā
tū kis talāsh meñ hai shahr meñ divāna mirā
tamām raat hai āñkhoñ se āñsuoñ kī kashīd
tamām raat khulā hai sharāb-ḳhāna mirā
ye merī ruuh kā jhagḌā thā āsmāñ ke saath
bilā-qusūr badan ban gayā nishāna mirā
falak ke sar pe paḌe haiñ merī zamīn ke paañv
mire sirhāne se ūñchā hai pā.itāna mirā
maiñ ek zaḳhm barābar zamīñ pe rahtā huuñ
vo kah rahe haiñ ye qabza hai ġhāsibāna mirā
to aao ahl-e-jahāñ is pe faisla kar leñ
makān saarā tumhārā darūn-e-ḳhāna mirā
ḳhud apne aap meñ hai saarī merī āmad-o-raft
kahīñ se aanā na ab hai kahīñ bhī jaanā mirā
kahāñ kā 'ishq havas tak bhī ho nahīñ saktī
yahī rahegā jo andāz mujrimāna mirā
bikhernī hai jise zulf us kā istiqbāl
vabāl-e-shahr se ḳhālī hai ek shāna mirā
maiñ ḳhuub faaqa na kartā to mar gayā hotā
mire ḳhilāf saf-ārā thā āb-o-dāna mirā
kabhī ḳhudā kabhī insān raah meñ haa.il
ḳhud apne aap se rishta bhī ġhā.ebāna mirā
kahīñ mire kisī lamhe se phir huī koī chuuk
phir aate aate kahīñ rah gayā zamāna mirā
tire ġhayāb kī ḳhidmat meñ saarā merā qusūr
vujūd phir bhī vahī ġhair-hāzirānā mirā
vo mere lafz ke donoñ suroñ se vāqif hai
kabhī bhī kaam na aayā koī bahāna mirā
daba paDa hai kahin dasht mein KHazana mera
tu kis talash mein hai shahr mein diwana mera
tamam raat hai aankhon se aansuon ki kashid
tamam raat khula hai sharab-KHana mera
ye meri ruh ka jhagDa tha aasman ke sath
bila-qusur badan ban gaya nishana mera
falak ke sar pe paDe hain meri zamin ke panw
mere sirhane se uncha hai paitana mera
main ek zaKHm barabar zamin pe rahta hun
wo kah rahe hain ye qabza hai ghasibana mera
to aao ahl-e-jahan is pe faisla kar len
makan sara tumhaara darun-e-KHana mera
KHud apne aap mein hai sari meri aamad-o-raft
kahin se aana na ab hai kahin bhi jaana mera
kahan ka 'ishq hawas tak bhi ho nahin sakti
yahi rahega jo andaz mujrimana mera
bikherni hai jise zulf us ka istiqbaal
wabaal-e-shahr se KHali hai ek shana mera
main KHub faqa na karta to mar gaya hota
mere KHilaf saf-ara tha aab-o-dana mera
kabhi KHuda kabhi insan rah mein hail
KHud apne aap se rishta bhi ghaebana mera
kahin mere kisi lamhe se phir hui koi chuk
phir aate aate kahin rah gaya zamana mera
tere ghayab ki KHidmat mein sara mera qusur
wujud phir bhi wahi ghair-hazirana mera
wo mere lafz ke donon suron se waqif hai
kabhi bhi kaam na aaya koi bahana mera
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 43)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.