dafatan ghaTa ki aaD se chandni kashid ho gai
daf'atan ghaTā kī aaḌ se chāñdnī kashīd ho ga.ī
zulf us ke chehre se haTī aur merī 'iid ho ga.ī
roz roz milnā aap se hai ḳhatā magar maiñ kyā karūñ
ye ḳhatā bahut hasīn thī is liye mazīd ho ga.ī
jab se tum ne mujh faqīr par kī hai iltifāt kī nazar
yuuñ huā ki shaḳhsiyat mirī ḳhud mirī murīd ho ga.ī
'mīr' ke taḳhayyulāt kā shahd jab se fikr meñ ghulā
aur bhī shu'ūr aa gayā shā'irī jadīd ho ga.ī
thī fazā vafā kī ḳhush-gavār apne daur-e-eqtidār meñ
miT gayā vafāoñ kā nishāñ ab jafā shadīd ho ga.ī
ai 'nizāmī' kā.enāt meñ karbalā se le ke aaj tak
jab kahīñ husainiyat baḌhī to fazā yazīd ho ga.ī
daf'atan ghaTa ki aaD se chandni kashid ho gai
zulf us ke chehre se haTi aur meri 'id ho gai
roz roz milna aap se hai KHata magar main kya karun
ye KHata bahut hasin thi is liye mazid ho gai
jab se tum ne mujh faqir par ki hai iltifat ki nazar
yun hua ki shaKHsiyat meri KHud meri murid ho gai
'mir' ke taKHayyulat ka shahd jab se fikr mein ghula
aur bhi shu'ur aa gaya sha'iri jadid ho gai
thi faza wafa ki KHush-gawar apne daur-e-eqtidar mein
miT gaya wafaon ka nishan ab jafa shadid ho gai
ai 'nizami' kaenat mein karbala se le ke aaj tak
jab kahin husainiyat baDhi to faza yazid ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.