dafn sab miTTi mein shoron ke qabile ho gae
dafn sab miTTī meñ shoroñ ke qabīle ho ga.e
un ke qisse dil bahalne ke vasīle ho ga.e
mil gayā miTTī meñ kitne bādshāhoñ kā ġhurūr
jo mahal the kuchh dinoñ pahle vo Tiile ho ga.e
be-ruḳhī ne bāġhbāñ kī kar diyā gulshan tabāh
phuul tak shāḳhoñ pe murjhā kar nukīle ho ga.e
aap kī bastī meñ jab bahrī samā'at ho ga.ī
koyaleñ gūñgī huiiñ kavve surīle ho ga.e
ho ga.ī be-rang shahzāde kī us din zindagī
ek doshīza ke jis din haath piile ho ga.e
log sāñpoñ ko gale meñ Daal kar mahfūz haiñ
aur ham chandan se bhī lipTe to niile ho ga.e
dafn sab miTTi mein shoron ke qabile ho gae
un ke qisse dil bahalne ke wasile ho gae
mil gaya miTTi mein kitne baadshahon ka ghurur
jo mahal the kuchh dinon pahle wo Tile ho gae
be-ruKHi ne baghban ki kar diya gulshan tabah
phul tak shaKHon pe murjha kar nukile ho gae
aap ki basti mein jab bahri sama'at ho gai
koyalen gungi huin kawwe surile ho gae
ho gai be-rang shahzade ki us din zindagi
ek doshiza ke jis din hath pile ho gae
log sanpon ko gale mein Dal kar mahfuz hain
aur hum chandan se bhi lipTe to nile ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.