dahakte kyon nahin ai dil bujhe angar ho kya
dahakte kyoñ nahīñ ai dil bujhe añgār ho kyā
rukī hai jo zabāñ tak aa ke vo guftār ho kyā
tasarruf qalb-o-jāñ par ab taḳhayyul kā nahīñ kyoñ
ḳhud apnī fikr kī kashtī kī tum mañjdhār ho kyā
najāt-e-rūh paane ke liye kuchh to likho ab
ubalte kyoñ nahīñ barfāb kī tum dhaar ho kyā
ġhazal kahte nahīñ bantī jumūd-e-zehn kyoñ ho
mahakte kyoñ nahiñ ai dil chaman ke ḳhaar ho kyā
isī āvāz se har-sū fazāoñ meñ khanak thī
mukharte kyoñ nahīñ ai 'nāzlī' bīmār ho kyā
dahakte kyon nahin ai dil bujhe angar ho kya
ruki hai jo zaban tak aa ke wo guftar ho kya
tasarruf qalb-o-jaan par ab taKHayyul ka nahin kyon
KHud apni fikr ki kashti ki tum manjdhaar ho kya
najat-e-ruh pane ke liye kuchh to likho ab
ubalte kyon nahin barfab ki tum dhaar ho kya
ghazal kahte nahin banti jumud-e-zehn kyon ho
mahakte kyon nahin ai dil chaman ke KHar ho kya
isi aawaz se har-su fazaon mein khanak thi
mukharte kyon nahin ai 'nazli' bimar ho kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.