dahan ka lab ka zaqan ka jabin ka bosa do
dahan ka lab ka zaqan ka jabin ka bosa do
Maqsood Ahmad Nutq Kakorwi
MORE BYMaqsood Ahmad Nutq Kakorwi
dahan kā lab kā zaqan kā jabīñ kā bosa do
hameñ to lene se matlab kahīñ kā bosa do
bahut dinoñ meñ tumheñ bas meñ daav se laayā
jahāñ jahāñ kā maiñ māñgūñ vahīñ kā bosa do
na tursh-rū ho na khaTTe karo hamāre daañt
maza hai hañs ke lab-e-shakkarīñ kā bosa do
hazār kījiye inkār maiñ na mānūñgā
maiñ sunñe vaalā nahīñ huuñ nahīñ kā bosa do
mirī tumhārī yahī shart thī jo kī inkār
to chaar jiit ke ek us nahīñ kā bosa do
vo bole 'nutq' tirī garmiyoñ meñ aag lage
kabhī kahā jo ruḳh-e-ātishīñ kā bosa do
dahan ka lab ka zaqan ka jabin ka bosa do
hamein to lene se matlab kahin ka bosa do
bahut dinon mein tumhein bas mein daw se laya
jahan jahan ka main mangun wahin ka bosa do
na tursh-ru ho na khaTTe karo hamare dant
maza hai hans ke lab-e-shakkarin ka bosa do
hazar kijiye inkar main na manunga
main sunne wala nahin hun nahin ka bosa do
meri tumhaari yahi shart thi jo ki inkar
to chaar jit ke ek us nahin ka bosa do
wo bole 'nutq' teri garmiyon mein aag lage
kabhi kaha jo ruKH-e-atishin ka bosa do
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 91)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.