dahr ko lamha-e-maujud se haT kar dekhen
dahr ko lamha-e-maujūd se haT kar dekheñ
na.ī sub.heñ na.ī shāmeñ na.e manzar dekheñ
ghar kī dīvāroñ pe tanhā.ī ne likkhe haiñ jo ġham
mere ġham-ḳhvār unheñ bhī kabhī paḌh kar dekheñ
aap hī aap ye socheñ koī aayā hogā
aur phir aap hī darvāze pe jā kar dekheñ
kuchh ajab rañg se kaTte haiñ shab o roz apne
log kyā kuchh na kaheñ ham ko jo aa kar dekheñ
dahr ko lamha-e-maujud se haT kar dekhen
nai subhen nai shamen nae manzar dekhen
ghar ki diwaron pe tanhai ne likkhe hain jo gham
mere gham-KHwar unhen bhi kabhi paDh kar dekhen
aap hi aap ye sochen koi aaya hoga
aur phir aap hi darwaze pe ja kar dekhen
kuchh ajab rang se kaTte hain shab o roz apne
log kya kuchh na kahen hum ko jo aa kar dekhen
- Book : Abyaat (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.