dahr mein koi kaam karta ja
dahr meñ koī kaam kartā jā
apnā duniyā meñ naam kartā jā
terī miTTī milegī miTTī meñ
ḳhaak kā ehtirām kartā jā
āfrīnash pe merī bolī ajal
tū bhī do din qiyām kartā jā
justujū us kī kar tū yaad us kī
umr yūñhī tamām kartā jā
tuur par guftugū ho muusā se
ham se bhī kuchh kalām kartā jā
tū hisār-e-falak se jald nikal
aur bhī tez-gām kartā jā
zindagī tujh ko hai agar darkār
maut kā nosh jaam kartā jā
ḳhāksārī ajiib ne.amat hai
is se aalam ko raam kartā jā
sūrat-e-mehr āb-o-tāb ke saath
sub.h kī apnī shaam kartā jā
chashm-e-haq meñ raheñ tire jalve
apnā dīdār aam kartā jā
maskan-e-ḳhuld ke liye ai 'sabr'
kuchh na kuchh intizām kartā jā
dahr mein koi kaam karta ja
apna duniya mein nam karta ja
teri miTTi milegi miTTi mein
KHak ka ehtiram karta ja
aafrinash pe meri boli ajal
tu bhi do din qiyam karta ja
justuju us ki kar tu yaad us ki
umr yunhi tamam karta ja
tur par guftugu ho musa se
hum se bhi kuchh kalam karta ja
tu hisar-e-falak se jald nikal
aur bhi tez-gam karta ja
zindagi tujh ko hai agar darkar
maut ka nosh jam karta ja
KHaksari ajib neamat hai
is se aalam ko ram karta ja
surat-e-mehr aab-o-tab ke sath
subh ki apni sham karta ja
chashm-e-haq mein rahen tere jalwe
apna didar aam karta ja
maskan-e-KHuld ke liye ai 'sabr'
kuchh na kuchh intizam karta ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.