dahr mein phirta hai jun baad-e-saba mastana
dahr meñ phirtā hai juuñ bād-e-sabā mastāna
tere dīvāne kā andāz har ik rindāna
shauq ke phuul khile husn kī qindīl jalī
saj gayā aap ke aate hī mirā kāshāna
chāhtā huuñ ki yūñhī mahv-e-tamāshā ho kar
jalva-e-husn ko dekhā karūñ bebākāna
jāñ-nisārān-e-mohabbat kā pata detī hai
sham.a pe bikhrī huī ḳhaak dil-e-parvāna
aaj kī raat to jī bhar ke hameñ piine do
aaj kī raat to gardish meñ rahe paimāna
zikr chhiḌ jaatā hai jab 'anjum'-e-vahshī kā kabhī
hañs ke kahtā hai koī vo hai tirā dīvāna
dahr mein phirta hai jun baad-e-saba mastana
tere diwane ka andaz har ek rindana
shauq ke phul khile husn ki qindil jali
saj gaya aap ke aate hi mera kashana
chahta hun ki yunhi mahw-e-tamasha ho kar
jalwa-e-husn ko dekha karun bebakana
jaan-nisaran-e-mohabbat ka pata deti hai
shama pe bikhri hui KHak dil-e-parwana
aaj ki raat to ji bhar ke hamein pine do
aaj ki raat to gardish mein rahe paimana
zikr chhiD jata hai jab 'anjum'-e-wahshi ka kabhi
hans ke kahta hai koi wo hai tera diwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.