dahr-o-tajalliyat-e-rab ek hain chashm-e-raaz mein
dahr-o-tajalliyāt-e-rab ek haiñ chashm-e-rāz meñ
jakḌe hue haiñ sab ke sab silsila-e-niyāz meñ
kuchh vo nazar kā taur hai nargis-e-ishva-sāz meñ
sab kā jahāñ hī aur hai parda-sarā-e-nāz meñ
farq hai ijz-o-nāz meñ dīda-e-imtiyāz meñ
farq-e-haram-niyāz meñ pā-e-haram-navāz meñ
mehr-e-abad se kā.enāt baqqa-e-nūr tā-jihāt
raat hai aur añdherī raat chasm-e-sitāra-sāz meñ
haa.e re muntahā-e-shauq dast-e-hayā gale kā tauq
sar ko hai āstāñ se zauq us kī harīm-e-nāz meñ
zarroñ kī ḳhutba-ḳhvāniyāñ balki ḳhudā-bayāniyāñ
uf tirī lan-tarāniyāñ ḳhāk-e-hama-niyāz meñ
shakl har ik ujaal dī baat vahī nikāl dī
shauq ne ḳhaak Daal dī dīda-e-imtiyāz meñ
aur kisī kā zikr kyā jab na mujhī pe khul sakā
dard se mar rahā huuñ yā hasrat-e-chāra-sāz meñ
jo bhī hai ḳhizr-e-rāh hai phir bhī ġhazab tabāh hai
ek sī āh-āh hai qāfila-e-majāz meñ
sub.h-e-azal se hashr tak mahv-e-rukūa thā falak
sajde kī rah ga.ī falak phir bhī dil-e-niyāz meñ
shauq se kyā bichhaḌ ga.e khel bane bigaḌ ga.e
baal hī baal paḌ ga.e ā.ina-e-niyāz meñ
sahn-e-zamīñ makān-e-nāz charḳh hai āsmān-e-nāz
dahr hai ik jahān-e-nāz husn ke daur-e-nāz meñ
chhīñTe sahāb ne diye rāh-e-talab meñ soz se
sho.ale jahāñ bhaḌak uThe barq-e-zabāna-tāz meñ
dahr-o-tajalliyat-e-rab ek hain chashm-e-raaz mein
jakDe hue hain sab ke sab silsila-e-niyaz mein
kuchh wo nazar ka taur hai nargis-e-ishwa-saz mein
sab ka jahan hi aur hai parda-sara-e-naz mein
farq hai ijz-o-naz mein dida-e-imtiyaz mein
farq-e-haram-niyaz mein pa-e-haram-nawaz mein
mehr-e-abad se kaenat baqqa-e-nur ta-jihat
raat hai aur andheri raat chasm-e-sitara-saz mein
hae re muntaha-e-shauq dast-e-haya gale ka tauq
sar ko hai aastan se zauq us ki harim-e-naz mein
zarron ki KHutba-KHwaniyan balki KHuda-bayaniyan
uf teri lan-taraniyan KHak-e-hama-niyaz mein
shakl har ek ujal di baat wahi nikal di
shauq ne KHak Dal di dida-e-imtiyaz mein
aur kisi ka zikr kya jab na mujhi pe khul saka
dard se mar raha hun ya hasrat-e-chaara-saz mein
jo bhi hai KHizr-e-rah hai phir bhi ghazab tabah hai
ek si aah-ah hai qafila-e-majaz mein
subh-e-azal se hashr tak mahw-e-rukua tha falak
sajde ki rah gai falak phir bhi dil-e-niyaz mein
shauq se kya bichhaD gae khel bane bigaD gae
baal hi baal paD gae aaina-e-niyaz mein
sahn-e-zamin makan-e-naz charKH hai aasman-e-naz
dahr hai ek jahan-e-naz husn ke daur-e-naz mein
chhinTe sahab ne diye rah-e-talab mein soz se
shoale jahan bhaDak uThe barq-e-zabana-taz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.