dahr se miTne ka gham bhi hamein beja hoga
dahr se miTne kā ġham bhī hameñ bejā hogā
ham nahīñ hoñge agar kal koī ham sā hogā
dekh is aañkh ko sun is kā qasīda ham se
phir ye bāteñ na kabhī aisā tamāshā hogā
tū bhī insān hai tū ne bhī mohabbat kī hai
tū mohabbat ke taqāzoñ ko samajhtā hogā
mar miTā kaun se andāz pe tere dil aaj
us ne sau baar tujhe pahle bhī dekhā hogā
aaj tak zehn meñ hasrat kā ġhubār uḌtā hai
ārzūoñ kā kabhī qāfila guzrā hogā
aaj ḳhāliq hai jo har khet kī hariyālī kā
yahī qātil kabhī har barg-o-samar kā hogā
aur kyā hogā pas-e-parda-e-dil ai 'shaukat'
apnī tasvīr kā ik aur sarāpā hogā
dahr se miTne ka gham bhi hamein beja hoga
hum nahin honge agar kal koi hum sa hoga
dekh is aankh ko sun is ka qasida hum se
phir ye baaten na kabhi aisa tamasha hoga
tu bhi insan hai tu ne bhi mohabbat ki hai
tu mohabbat ke taqazon ko samajhta hoga
mar miTa kaun se andaz pe tere dil aaj
us ne sau bar tujhe pahle bhi dekha hoga
aaj tak zehn mein hasrat ka ghubar uDta hai
aarzuon ka kabhi qafila guzra hoga
aaj KHaliq hai jo har khet ki hariyali ka
yahi qatil kabhi har barg-o-samar ka hoga
aur kya hoga pas-e-parda-e-dil ai 'shaukat'
apni taswir ka ek aur sarapa hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.