dahshat ki ek chaTan hai dil par dhari hui
dahshat kī ik chaTān hai dil par dharī huī
ā.īna bilbilāyā ki tesha-zanī huī
sapnoñ meñ koī sāya-e-dīvār bhī nahīñ
dhūpoñ ke bistaroñ se hai nīñdeñ uḌī huī
ḳhāmosh vaqt ke yahī tevar rahe ki bas
bād-e-sumūm bād-e-sabā meñ ghulī huī
Tapkī na ik shu’ā’ bhī rauzan se sub.h ke
shab-bhar to tīrgī kī thī naddī chaḌhī huī
yuuñ dhaḌkanoñ se rang-e-tamannā bichhaḌ gayā
jaise shajar se shāḳh-e-samar hai kaTī huī
shāḳh-e-talab se girte hī barg-e-umīd ko
dosh-e-havā pe nisbat-e-āvārgī huī
dahshat ki ek chaTan hai dil par dhari hui
aaina bilbilaya ki tesha-zani hui
sapnon mein koi saya-e-diwar bhi nahin
dhupon ke bistaron se hai ninden uDi hui
KHamosh waqt ke yahi tewar rahe ki bas
baad-e-sumum baad-e-saba mein ghuli hui
Tapki na ek shu’a’ bhi rauzan se subh ke
shab-bhar to tirgi ki thi naddi chaDhi hui
yun dhaDkanon se rang-e-tamanna bichhaD gaya
jaise shajar se shaKH-e-samar hai kaTi hui
shaKH-e-talab se girte hi barg-e-umid ko
dosh-e-hawa pe nisbat-e-awargi hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.