dair meñ ham aa khaḌe haiñ ik sanam ke vāste
paañv uTheñ kis tarah tauf-e-haram ke vāste
aish-o-ishrat ai ḳhudā auroñ ke dam ke vāste
aur hameñ paidā kiyā ranj-o-alam ke vāste
jitne haiñ jaur-o-jafā sab mere dam ke vāste
ḳhūb-rū paidā hue jaur-o-sitam ke vāste
so rahe haiñ ḳhuftagān-e-ḳhāk kis ārām se
sach to ye hai chain hai ahl-e-adam ke vāste
marte dam dīdār un kā dekh luuñ vo aa.e haiñ
qābiz-e-arvāh tham jā ek dam ke vāste
bahr-e-ālam meñ uThā kar sar ye kahtā hai habāb
saarī duniyā kī baqā hai ek dam ke vāste
bāloñ meñ aa.ī safedī daañt sab hilne lage
hotī haiñ tayyāriyāñ mulk-e-adam ke vāste
ba.ad murdan sho.ala-e-dāġh-e-jigar kī raushnī
shakl-e-mash.al hai hameñ rāh-e-adam ke vāste
rizq qismat meñ likhā hai jis qadar vo pā.eñge
fikr karte kis liye ham besh-o-kam ke vāste
bahr-e-ālam meñ jo dekhī zindagī shakl-e-habāb
ghar banāyā ḳhaak meñ phir ek dam ke vāste
ham kisī sūrat nahīñ uThne ke kū-e-yār se
zāhidā tū jaan de bāġh-e-iram ke vāste
āñkheñ pathrā.ī huī haiñ dam nikaltā hī nahīñ
jān-e-jāñ sūrat dikhā do ek dam ke vāste
āstān-e-but pe jis ko mil ga.ī jā-e-qayām
vo kabhī jaatā nahīñ tauf-e-haram ke vāste
kaam hai rahmat kā terī parda-poshī ai ḳhudā
ham sarāpā jurm haiñ tū hai karam ke vāste
dete gar kāñdhā shahīd-e-nāz ke lāshe ko tum
paañv se mehñdī na chhuTtī do qadam ke vāste
myaan se bāhar nikal ai ḳhanjar-e-qātil zarā
rāhbar darkār hai rāh-e-adam ke vāste
ai 'vafā' ranj-o-ġham-o-andoh-o-fariyād-o-fuġhāñ
sab kiye paidā ḳhudā ne mere dam ke vāste
dair mein hum aa khaDe hain ek sanam ke waste
panw uThen kis tarah tauf-e-haram ke waste
aish-o-ishrat ai KHuda auron ke dam ke waste
aur hamein paida kiya ranj-o-alam ke waste
jitne hain jaur-o-jafa sab mere dam ke waste
KHub-ru paida hue jaur-o-sitam ke waste
so rahe hain KHuftagan-e-KHak kis aaram se
sach to ye hai chain hai ahl-e-adam ke waste
marte dam didar un ka dekh lun wo aae hain
qabiz-e-arwah tham ja ek dam ke waste
bahr-e-alam mein uTha kar sar ye kahta hai habab
sari duniya ki baqa hai ek dam ke waste
baalon mein aai safedi dant sab hilne lage
hoti hain tayyariyan mulk-e-adam ke waste
baad murdan shoala-e-dagh-e-jigar ki raushni
shakl-e-mashal hai hamein rah-e-adam ke waste
rizq qismat mein likha hai jis qadar wo paenge
fikr karte kis liye hum besh-o-kam ke waste
bahr-e-alam mein jo dekhi zindagi shakl-e-habab
ghar banaya KHak mein phir ek dam ke waste
hum kisi surat nahin uThne ke ku-e-yar se
zahida tu jaan de bagh-e-iram ke waste
aankhen pathrai hui hain dam nikalta hi nahin
jaan-e-jaan surat dikha do ek dam ke waste
aastan-e-but pe jis ko mil gai ja-e-qayam
wo kabhi jata nahin tauf-e-haram ke waste
kaam hai rahmat ka teri parda-poshi ai KHuda
hum sarapa jurm hain tu hai karam ke waste
dete gar kandha shahid-e-naz ke lashe ko tum
panw se mehndi na chhuTti do qadam ke waste
myan se bahar nikal ai KHanjar-e-qatil zara
rahbar darkar hai rah-e-adam ke waste
ai 'wafa' ranj-o-gham-o-andoh-o-fariyaad-o-fughan
sab kiye paida KHuda ne mere dam ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.