dam-ba-dam mera taraf-dar hua karta tha
dam-ba-dam merā taraf-dār huā kartā thā
ye jo dushman hai kabhī yaar huā kartā thā
jo tire dil se taḌī-pār huā kartā thā
marg-e-tanhā.ī se do-chār huā kartā thā
maiñ samajhtā thā mohabbat hī mirī daulat hai
par mirā yaar samajh-dār huā kartā thā
ik masīhā-e-mohabbat kā matab sāmne thā
aur maiñ shauq se bīmār huā kartā thā
haa.e vo log jo kahte the vahī karte the
jin kā likkhā huā shahkār huā kartā thā
pahle tahzīb se ḳhabreñ bhī paḌhī jaatī thiiñ
aur aḳhbār bhī aḳhbār huā kartā thā
chashm-e-hairāñ meñ liye phirtā hai apnī hasrat
ḳhush-nasībī kā jo me'yār huā kartā thā
āñkh-bhar dekh liyā kartā thā us ko phir maiñ
aa.ina dekh ke sarshār huā kartā thā
ye jo rasta tumheñ dushvār nazar aatā hai
chaar qadmoñ kī mirī maar huā kartā thā
ab mujhe dekh ke muñh pher liyā kartā hai
pahle vo ā.ina-bardār huā kartā thā
ab to dushman bhī nahīñ hai vo hamārā 'ārif'
yaar vo yaar jo dil-dār huā kartā thā
dam-ba-dam mera taraf-dar hua karta tha
ye jo dushman hai kabhi yar hua karta tha
jo tere dil se taDi-par hua karta tha
marg-e-tanhai se do-chaar hua karta tha
main samajhta tha mohabbat hi meri daulat hai
par mera yar samajh-dar hua karta tha
ek masiha-e-mohabbat ka matab samne tha
aur main shauq se bimar hua karta tha
hae wo log jo kahte the wahi karte the
jin ka likkha hua shahkar hua karta tha
pahle tahzib se KHabren bhi paDhi jati thin
aur aKHbar bhi aKHbar hua karta tha
chashm-e-hairan mein liye phirta hai apni hasrat
KHush-nasibi ka jo me'yar hua karta tha
aankh-bhar dekh liya karta tha us ko phir main
aaina dekh ke sarshaar hua karta tha
ye jo rasta tumhein dushwar nazar aata hai
chaar qadmon ki meri mar hua karta tha
ab mujhe dekh ke munh pher liya karta hai
pahle wo aaina-bardar hua karta tha
ab to dushman bhi nahin hai wo hamara 'arif'
yar wo yar jo dil-dar hua karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.