dam-ba-dam sina-e-hasti mein sinan TuTti hai
dam-ba-dam sīna-e-hastī meñ sināñ TūTtī hai
dekhnā ye hai ki ab saañs kahāñ TūTtī hai
ik mohabbat ki bachā rakkhī thī dil meñ kab se
vo surāhī bhī mire tishna-dahāñ TūTtī hai
DhūñD hī legī ufuq paar falak-zād kī aañkh
ik siyah ġhaar jahāñ kāhkashāñ TūTtī hai
naġhma-sāmāñ 'ajab andāz se hai sāz-e-ajal
sur simaTte haiñ jahāñ taan vahāñ TūTtī hai
āḳhirī tiir chalānā hai ḳhud apnī jānib
lekin is baar irādoñ kī kamāñ TūTtī hai
duur ik yaad ke sāhil pe hai vo māh-e-tamām
fāsla itnā ki bas ās-e-jahāñ TūTtī hai
dam-ba-dam sina-e-hasti mein sinan TuTti hai
dekhna ye hai ki ab sans kahan TuTti hai
ek mohabbat ki bacha rakkhi thi dil mein kab se
wo surahi bhi mere tishna-dahan TuTti hai
DhunD hi legi ufuq par falak-zad ki aankh
ek siyah ghaar jahan kahkashan TuTti hai
naghma-saman 'ajab andaz se hai saz-e-ajal
sur simaTte hain jahan tan wahan TuTti hai
aaKHiri tir chalana hai KHud apni jaanib
lekin is bar iradon ki kaman TuTti hai
dur ek yaad ke sahil pe hai wo mah-e-tamam
fasla itna ki bas aas-e-jahan TuTti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.