dam-ba-dam TuTti aawaz mein gaya hai mujhe
dam-ba-dam TūTtī āvāz meñ gaayā hai mujhe
mutrib-e-vaqt ne be-sarfa gañvāyā hai mujhe
lamha-lamha mirī tā'mīr huī hai lekin
lamha-lamha kisī ehsās ne Dhāyā hai mujhe
marg-e-ehsās kā mumkin ho to mātam kiije
ab sulagtī huī ye dhuup bhī saayā hai mujhe
kis kī tahrīr thā maiñ mujh ko gumāñ hotā hai
huuñ maiñ vo harf ki dānista miTāyā hai mujhe
be-ta’alluq hai mire shām-o-sahar se ab tak
jaise khone hī ko us shaḳhs ne paayā hai mujhe
ġham kī dīvār se lag kar maiñ khaḌā huuñ chup-chāp
kis ne be-jān sī tasvīr banāyā hai mujhe
ab ke mausam kī tabāhī se bachegā na koī
sahmī sahmī sī havāoñ ne batāyā hai mujhe
sho’la-zāroñ meñ mirī aañkh khulī hai aksar
barf-zāroñ meñ kisī ne jo sulāyā hai mujhe
maiñ koī phuul nahīñ dhuul huuñ sahrāoñ kī
tum ne kyā jaan ke juuḌe meñ sajāyā hai mujhe
ab maiñ tanhā.ī kī us manzil-e-ābād meñ huuñ
hāsil-e-har-do-jahāñ ḳhud mirā saaya hai mujhe
kaun thā jo mire ḳhvāboñ meñ ḳhalal Daal gayā
kaun hai jis ne sar-e-shām jagāyā hai mujhe
kal kī tasvīr se maiñ aaj bhī nā-vāqif huuñ
aa.ine ne mirā maazī hī dikhāyā hai mujhe
jab zamīñ mere liye tang huī hai 'arshad'
āsmānoñ ne mohabbat se uThāyā hai mujhe
dam-ba-dam TuTti aawaz mein gaya hai mujhe
mutrib-e-waqt ne be-sarfa ganwaya hai mujhe
lamha-lamha meri ta'mir hui hai lekin
lamha-lamha kisi ehsas ne Dhaya hai mujhe
marg-e-ehsas ka mumkin ho to matam kije
ab sulagti hui ye dhup bhi saya hai mujhe
kis ki tahrir tha main mujh ko guman hota hai
hun main wo harf ki danista miTaya hai mujhe
be-ta’alluq hai mere sham-o-sahar se ab tak
jaise khone hi ko us shaKHs ne paya hai mujhe
gham ki diwar se lag kar main khaDa hun chup-chap
kis ne be-jaan si taswir banaya hai mujhe
ab ke mausam ki tabahi se bachega na koi
sahmi sahmi si hawaon ne bataya hai mujhe
sho’la-zaron mein meri aankh khuli hai aksar
barf-zaron mein kisi ne jo sulaya hai mujhe
main koi phul nahin dhul hun sahraon ki
tum ne kya jaan ke juDe mein sajaya hai mujhe
ab main tanhai ki us manzil-e-abaad mein hun
hasil-e-har-do-jahan KHud mera saya hai mujhe
kaun tha jo mere KHwabon mein KHalal Dal gaya
kaun hai jis ne sar-e-sham jagaya hai mujhe
kal ki taswir se main aaj bhi na-waqif hun
aaine ne mera mazi hi dikhaya hai mujhe
jab zamin mere liye tang hui hai 'arshad'
aasmanon ne mohabbat se uThaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.