dam bhar ko band nala-e-bulbul na ho saka
dam bhar ko band nāla-e-bulbul na ho sakā
lekin asar se zard ruḳh-e-gul na ho sakā
vaqt-e-aḳhīr ro hī diye mujh ko dekh kar
vo haal thā ki un se tahammul na ho sakā
poshīda har sharar meñ hai barq-e-jamāl-e-haq
dam bhar ko juzv se to judā kul na ho sakā
iḳhfā-e-rāz-e-ġham kā jo zindāñ meñ thā ḳhayāl
zanjīr bhī hilā.ī magar ġhul na ho sakā
dāġh-e-jigar meñ kyā hai kamāl-e-faroġh-e-'ishq
aisā jalā charāġh ki phir gul na ho sakā
siine pe saañp loT na jaa.e shab-e-firāq
is vahm meñ tasavvur-e-kākul na ho sakā
majbūriyāñ kuchh aisī thiiñ 'bismil' shab-e-firāq
mujh se charāġh-e-zīst bhī to gul na ho sakā
dam bhar ko band nala-e-bulbul na ho saka
lekin asar se zard ruKH-e-gul na ho saka
waqt-e-aKHir ro hi diye mujh ko dekh kar
wo haal tha ki un se tahammul na ho saka
poshida har sharar mein hai barq-e-jamal-e-haq
dam bhar ko juzw se to juda kul na ho saka
iKHfa-e-raaz-e-gham ka jo zindan mein tha KHayal
zanjir bhi hilai magar ghul na ho saka
dagh-e-jigar mein kya hai kamal-e-farogh-e-'ishq
aisa jala charagh ki phir gul na ho saka
sine pe sanp loT na jae shab-e-firaq
is wahm mein tasawwur-e-kakul na ho saka
majburiyan kuchh aisi thin 'bismil' shab-e-firaq
mujh se charagh-e-zist bhi to gul na ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.