dam-e-aKHir sanam phere hain aankhen bad-guman ho kar
dam-e-aKHir sanam phere hain aankhen bad-guman ho kar
Gustakh Rampuri
MORE BYGustakh Rampuri
dam-e-āḳhir sanam phere haiñ āñkheñ bad-gumāñ ho kar
phire haiñ ye mirī āñkhoñ ke taare putliyāñ ho kar
mirī fariyād sun kar fasl-e-gul meñ shor kartī haiñ
chaman meñ bulbuleñ nālāñ haiñ merī ham-zabāñ ho kar
gale mil kar urūs-e-teġh se ye aabrū paa.ī
paḌe haiñ haar zaḳhmoñ ke gale meñ baddhiyāñ ho kar
shab-e-furqat koī naala agar muñh se nikaltā hai
falak se phir kar aatā hai balā-e-nā-gahāñ ho kar
havā-e-dīd-e-gul josh-e-junūñ meñ bhī rahī baaqī
ga.e 'gustāḳh' sahrā ko to sū-e-bostāñ ho kar
dam-e-aKHir sanam phere hain aankhen bad-guman ho kar
phire hain ye meri aankhon ke tare putliyan ho kar
meri fariyaad sun kar fasl-e-gul mein shor karti hain
chaman mein bulbulen nalan hain meri ham-zaban ho kar
gale mil kar urus-e-tegh se ye aabru pai
paDe hain haar zaKHmon ke gale mein baddhiyan ho kar
shab-e-furqat koi nala agar munh se nikalta hai
falak se phir kar aata hai bala-e-na-gahan ho kar
hawa-e-did-e-gul josh-e-junun mein bhi rahi baqi
gae 'gustaKH' sahra ko to su-e-bostan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.