dam-e-amdan hai us ka dam-e-wapsin hai mera
dam-e-āmdan hai us kā dam-e-vāpsīñ hai merā
jo safar maiñ kar rahā huuñ vo safar nahīñ hai merā
mire ḳhāna-e-gumāñ meñ jo tilism jism kā hai
ye kahīñ kahīñ hai us kā ye kahīñ kahīñ hai merā
kisī aur hī zamīñ par to maiñ saañs le rahā huuñ
ye zamīñ nahīñ hai merī ye falak nahīñ hai merā
ye havā jo tham ga.ī hai ye mahak jo uḌ rahī hai
koī ham-navā hai merā koī ham-nashīñ hai merā
dam-e-amdan hai us ka dam-e-wapsin hai mera
jo safar main kar raha hun wo safar nahin hai mera
mere KHana-e-guman mein jo tilism jism ka hai
ye kahin kahin hai us ka ye kahin kahin hai mera
kisi aur hi zamin par to main sans le raha hun
ye zamin nahin hai meri ye falak nahin hai mera
ye hawa jo tham gai hai ye mahak jo uD rahi hai
koi ham-nawa hai mera koi ham-nashin hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.