dam-e-ruKHsat faraham hijr ka saman karte hain
dam-e-ruḳhsat farāham hijr kā sāmān karte haiñ
dil-e-hairat-zadā ko aur bhī hairān karte haiñ
uThā.eñ kis qadar ehsāñ karam-farmā.iyoñ kā ham
zamāne-bhar meñ kahte haiñ ki vo ehsān karte haiñ
nazar-andāz karne kā gila un se nahīñ lekin
hameñ bhī dekhnā hai vo kise mehmān karte haiñ
Darāte kyā ho nādānoñ unheñ ūñchī 'imārat se
chaTānoñ kā jo siina chiir kar maidān karte haiñ
vafā kī justujū meñ ham kisī vīrān raste par
matā’-e-zindagī kā kis qadar nuqsān karte haiñ
darūn-e-zāt kī pechīdgī kuchh kam nahīñ 'ahmar'
zamāne ke liye ham shā'irī āsān karte haiñ
dam-e-ruKHsat faraham hijr ka saman karte hain
dil-e-hairat-zada ko aur bhi hairan karte hain
uThaen kis qadar ehsan karam-farmaiyon ka hum
zamane-bhar mein kahte hain ki wo ehsan karte hain
nazar-andaz karne ka gila un se nahin lekin
hamein bhi dekhna hai wo kise mehman karte hain
Daraate kya ho nadanon unhen unchi 'imarat se
chaTanon ka jo sina chir kar maidan karte hain
wafa ki justuju mein hum kisi viran raste par
mata’-e-zindagi ka kis qadar nuqsan karte hain
darun-e-zat ki pechidgi kuchh kam nahin 'ahmar'
zamane ke liye hum sha'iri aasan karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.