dam ghanimat hai ki waqt-e-KHush-dili milta nahin
dam ghanimat hai ki waqt-e-KHush-dili milta nahin
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
dam ġhanīmat hai ki vaqt-e-ḳhush-dilī miltā nahīñ
ye samāñ ye chain duniyā meñ kabhī miltā nahīñ
dekhiyo nafrat ki merā naam gar leve koī
rū-ba-rū us ke, to phir vo us se bhī miltā nahīñ
kyā karūñ nā-sāzī-e-tāle.a kā maiñ shikva ki aah
jis ko jī chāhe hai merā us kā jī miltā nahīñ
kho ke mujh ko haath se sunte ho pachhtāoge tum
maano kahnā bhī ki mujh sā aadmī miltā nahīñ
kis taraf jaatā rahā kyā jaane vo vahshī-mizāj
DhūñDte phirte haiñ ham aur 'mus.hafī' miltā nahīñ
dam ghanimat hai ki waqt-e-KHush-dili milta nahin
ye saman ye chain duniya mein kabhi milta nahin
dekhiyo nafrat ki mera nam gar lewe koi
ru-ba-ru us ke, to phir wo us se bhi milta nahin
kya karun na-sazi-e-talea ka main shikwa ki aah
jis ko ji chahe hai mera us ka ji milta nahin
kho ke mujh ko hath se sunte ho pachhtaoge tum
mano kahna bhi ki mujh sa aadmi milta nahin
kis taraf jata raha kya jaane wo wahshi-mizaj
DhunDte phirte hain hum aur 'mushafi' milta nahin
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 202)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.