dam ghuTa jata hai aae kis tarah taza hawa
dam ghuTā jaatā hai aa.e kis tarah taaza havā
kar ga.ī hai band aaj ek ek darvāza havā
kaun sī āñkhoñ se dekhūñ zindagī kī bebasī
chehra chehra mal rahī hai maut kā ġhāza havā
qahr paiham Dhā rahī hai ḳhushbuoñ ke shahr meñ
dekhnā tum ek din bhugtegī ḳhamyāza havā
dhūp-zāroñ ko koī tārāj kar saktā nahīñ
kyā bikheregī bhalā sūraj kā shīrāza havā
zor phir kaaTā tirā mere par-e-parvāz ne
phir ġhalat sābit huā hai terā andāza havā
aao is ke qalb meñ jā kar diye raushan kareñ
kas rahī hai der se ham sab par āvāza havā
rauzanoñ par makḌiyoñ ke jaal kī chādar tanī
ghar meñ 'jauhar' kaise aa.e saaf aur taaza havā
dam ghuTa jata hai aae kis tarah taza hawa
kar gai hai band aaj ek ek darwaza hawa
kaun si aankhon se dekhun zindagi ki bebasi
chehra chehra mal rahi hai maut ka ghaza hawa
qahr paiham Dha rahi hai KHushbuon ke shahr mein
dekhna tum ek din bhugtegi KHamyaza hawa
dhup-zaron ko koi taraj kar sakta nahin
kya bikheregi bhala suraj ka shiraaza hawa
zor phir kaTa tera mere par-e-parwaz ne
phir ghalat sabit hua hai tera andaza hawa
aao is ke qalb mein ja kar diye raushan karen
kas rahi hai der se hum sab par aawaza hawa
rauzanon par makDiyon ke jal ki chadar tani
ghar mein 'jauhar' kaise aae saf aur taza hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.