dam hawa ke siwa kuchh aur nahin
dam havā ke sivā kuchh aur nahīñ
but ḳhudā ke sivā kuchh aur nahīñ
sher-fahmī kahāñ ki ab lab par
marhabā ke sivā kuchh aur nahīñ
aadmī hai magar adhūrā hai
pārsā ke sivā kuchh aur nahīñ
rāh-e-hastī kī manzil-e-mauhūm
naqsh-e-pā ke sivā kuchh aur nahīñ
ibtidā dard-e-dil kī kyā kahiye
intihā ke sivā kuchh aur nahīñ
apnī pahchān aap paidā kar
tū 'ziyā' ke sivā kuchh aur nahīñ
dam hawa ke siwa kuchh aur nahin
but KHuda ke siwa kuchh aur nahin
sher-fahmi kahan ki ab lab par
marhaba ke siwa kuchh aur nahin
aadmi hai magar adhura hai
parsa ke siwa kuchh aur nahin
rah-e-hasti ki manzil-e-mauhum
naqsh-e-pa ke siwa kuchh aur nahin
ibtida dard-e-dil ki kya kahiye
intiha ke siwa kuchh aur nahin
apni pahchan aap paida kar
tu 'ziya' ke siwa kuchh aur nahin
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 81)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.