dam toDte ek aise bimar ko dekha hai
dam toḌte ik aise bīmār ko dekhā hai
yā apnī apāhij sī sarkār ko dekhā hai
jab sar se lahū phūTā jab shīsha-e-dil TuuTā
patthar liye apne ik tab yaar ko dekhā hai
tū ne bhī kahāñ dekhā ham jaise qalandar ko
ham ne bhī kahāñ tere darbār ko dekhā hai
andhoñ kī hifāzat meñ aivān-e-siyāsat hai
darvāze nahīñ dekhe dīvār ko dekhā hai
in surma.ī āñkhoñ ko unvān-e-ġhazal kar ke
ḳhvāboñ meñ bhī ḳhanjar ko talvār ko dekhā hai
jab vaqt ke dariyā ne rukne kā adab sīkhā
ik raushnī dekhī hai raftār ko dekhā hai
bikte hue fan dekhe nīlām qalam dekhe
ġhazloñ kī dukāñ dekhī bāzār ko dekhā hai
dam toDte ek aise bimar ko dekha hai
ya apni apahij si sarkar ko dekha hai
jab sar se lahu phuTa jab shisha-e-dil TuTa
patthar liye apne ek tab yar ko dekha hai
tu ne bhi kahan dekha hum jaise qalandar ko
hum ne bhi kahan tere darbar ko dekha hai
andhon ki hifazat mein aiwan-e-siyasat hai
darwaze nahin dekhe diwar ko dekha hai
in surmai aankhon ko unwan-e-ghazal kar ke
KHwabon mein bhi KHanjar ko talwar ko dekha hai
jab waqt ke dariya ne rukne ka adab sikha
ek raushni dekhi hai raftar ko dekha hai
bikte hue fan dekhe nilam qalam dekhe
ghazlon ki dukan dekhi bazar ko dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.