dar aai mere bhagon mein ruswai waghaira
dar aa.ī mire bhāgoñ meñ rusvā.ī vaġhaira
lamha na huī apnī pazīrā.ī vaġhaira
āñkhoñ ne tire baa'd na dekhā koī manzar
jaatī rahī pīchhe tire bīnā.ī vaġhaira
ro.eñge mire baa'd mujhe peḌ parinde
mat samjho sitam mere ilāqā.ī vaġhaira
chāhat se bhalā terī taraf kaun hai aatā
le aatī hai sab ko tirī ra.anā.ī vaġhaira
duniyā meñ akelā huuñ mirā koī nahīñ hai
sab rang-o-havas ke haiñ ye shaidā.ī vaġhaira
is daur meñ har shaḳhs hai tanhā.ī kā maarā
hote the kabhī saath yahāñ bhaa.ī vaġhaira
dar aai mere bhagon mein ruswai waghaira
lamha na hui apni pazirai waghaira
aankhon ne tere ba'd na dekha koi manzar
jati rahi pichhe tere binai waghaira
roenge mere ba'd mujhe peD parinde
mat samjho sitam mere ilaqai waghaira
chahat se bhala teri taraf kaun hai aata
le aati hai sab ko teri ranai waghaira
duniya mein akela hun mera koi nahin hai
sab rang-o-hawas ke hain ye shaidai waghaira
is daur mein har shaKHs hai tanhai ka mara
hote the kabhi sath yahan bhai waghaira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.