dar-ba-dar kucha-ba-kucha der tak bhaTkegi raat
dar-ba-dar kūcha-ba-kūcha der tak bhaTkegī raat
phir thakan se chuur ho kar mere ghar Thahregī raat
pahle pī kar ḳhuub hangāme karegī bazm meñ
dil kī tanhā.ī se āḳhir dostī kar legī raat
ujḌī āñkhoñ meñ basā kar jhūTe ḳhvāboñ kī ḳhalish
jhuktī palkoñ ko mirī phir pyaar se chūmegī raat
bevafā mahbūb kī mānind ruḳhsat din huā
ek ik pal kā hisāb ab dekhnā māñgegī raat
kaise tai hoñge bhalā ye roz-o-shab ke fāsle
ham to so jā.eñge thak kar jaag kar sochegī raat
ā.īye ab lauT chaliye ghar kī jānib ai 'hasan'
aap ko ghar meñ na pā kar raat bhar jāgegī raat
dar-ba-dar kucha-ba-kucha der tak bhaTkegi raat
phir thakan se chur ho kar mere ghar Thahregi raat
pahle pi kar KHub hangame karegi bazm mein
dil ki tanhai se aaKHir dosti kar legi raat
ujDi aankhon mein basa kar jhuTe KHwabon ki KHalish
jhukti palkon ko meri phir pyar se chumegi raat
bewafa mahbub ki manind ruKHsat din hua
ek ek pal ka hisab ab dekhna mangegi raat
kaise tai honge bhala ye roz-o-shab ke fasle
hum to so jaenge thak kar jag kar sochegi raat
aaiye ab lauT chaliye ghar ki jaanib ai 'hasan'
aap ko ghar mein na pa kar raat bhar jagegi raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.