dar-ba-dar mazdur ki taqdir soch
dar-ba-dar mazdūr kī taqdīr soch
mar gayā hai kyoñ bhalā rahgīr soch
ālam-e-pazhmurdagī ke darmiyāñ
hausloñ se pur koī tahrīr soch
aa ke maqtal meñ tazabzub kis liye
ḳhvāb dekhā hai to phir ta.abīr soch
ik makān-e-muḳhtasar se ḳhush na ho
ye zamīñ ho kis tarah tasḳhīr soch
zulm sahnā zulm kī tā.īd hai
kaise TuuTe zulm kī zanjīr soch
be-sabab taḳhrīb-e-gulshan rok de
phuul ho jaa.eñ agar shamshīr soch
tū nigāhoñ se churātā hai sukūñ
ye ḳhatā hai lā.iq-e-tāzīr soch
laash bachche kī liye sākit hai vo
kyoñ na royā sāhib-e-tasvīr soch
sab to apne the adū koī na thā
kar diyā paivast kis ne tiir soch
shikva-e-iflās 'as.ad' chhoḌ kar
kyoñ bikī ajdād kī jāgīr soch
dar-ba-dar mazdur ki taqdir soch
mar gaya hai kyon bhala rahgir soch
aalam-e-pazhmurdagi ke darmiyan
hauslon se pur koi tahrir soch
aa ke maqtal mein tazabzub kis liye
KHwab dekha hai to phir tabir soch
ek makan-e-muKHtasar se KHush na ho
ye zamin ho kis tarah tasKHir soch
zulm sahna zulm ki taid hai
kaise TuTe zulm ki zanjir soch
be-sabab taKHrib-e-gulshan rok de
phul ho jaen agar shamshir soch
tu nigahon se churaata hai sukun
ye KHata hai laiq-e-tazir soch
lash bachche ki liye sakit hai wo
kyon na roya sahib-e-taswir soch
sab to apne the adu koi na tha
kar diya paiwast kis ne tir soch
shikwa-e-iflas 'asad' chhoD kar
kyon biki ajdad ki jagir soch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.